ghazal farogh-e-tajalli-e-tur chahe hai
ġhazal faroġh-e-tajallī-e-tūr chāhe hai
ye sinf husn-e-mujassam kā nuur chāhe hai
ġhazal latāfat-o-shīrīnī-e-bayāñ ke liye
mai-e-shabāb kā kaif-o-surūr chāhe hai
ġhazal ko fikr kī gahrā.iyāñ bhī haiñ matlūb
ġhazal jo husn-e-bayāñ kā shu.ūr chāhe hai
ġhazal saqāfat-o-tahzīb kā hasīñ sangam
rivāyatoñ meñ bhī jiddat zarūr chāhe hai
ġhazal sukūt-e-shab-e-intizār ke bā-vasf
tamām shorish-e-sub.h-e-nushūr chāhe hai
asīr-e-naġhmā-o-āhang hai ġhazal phir bhī
ta.assurāt-e-dil-e-nā-subūr chāhe hai
hikāyat-e-lab-e-dar-ḳhār tak nahīñ mahdūd
ġhazal sarāhat-e-hūr-o-qusūr chāhe hai
bayān-e-husn-o-mohabbat ke saath saath ġhazal
nazākat-e-ġham-e-hastī zarūr chāhe hai
ghazal farogh-e-tajalli-e-tur chahe hai
ye sinf husn-e-mujassam ka nur chahe hai
ghazal latafat-o-shirini-e-bayan ke liye
mai-e-shabab ka kaif-o-surur chahe hai
ghazal ko fikr ki gahraiyan bhi hain matlub
ghazal jo husn-e-bayan ka shuur chahe hai
ghazal saqafat-o-tahzib ka hasin sangam
riwayaton mein bhi jiddat zarur chahe hai
ghazal sukut-e-shab-e-intizar ke ba-wasf
tamam shorish-e-subh-e-nushur chahe hai
asir-e-naghma-o-ahang hai ghazal phir bhi
tassuraat-e-dil-e-na-subur chahe hai
hikayat-e-lab-e-dar-KHar tak nahin mahdud
ghazal sarahat-e-hur-o-qusur chahe hai
bayan-e-husn-o-mohabbat ke sath sath ghazal
nazakat-e-gham-e-hasti zarur chahe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.