ghazal gham ki ek hum sunane lage hain
ġhazal ġham kī ik ham sunāne lage haiñ
bharī bazm kā dil dukhāne lage haiñ
mire saare apne harīfoñ se mil kar
merā zabt phir āzmāne lage haiñ
mohabbat kī bāteñ jo karte the mujh se
mujhe chhoḌ kar ab vo jaane lage haiñ
tirī aas meñ hī chalā jā rahā huuñ
vagarna ye raste thakāne lage haiñ
tumheñ dil se ham ne nikālā nahīñ par
sabhī ḳhat tumhāre jalāne lage haiñ
purāne the jo ġham unheñ bhuul kar ab
na.e ḳhvāb phir ham sajāne lage haiñ
ye duniyā nahīñ hai jagah dil-lagī kī
so dil ham ḳhudā se lagāne lage haiñ
ghazal gham ki ek hum sunane lage hain
bhari bazm ka dil dukhane lage hain
mere sare apne harifon se mil kar
mera zabt phir aazmane lage hain
mohabbat ki baaten jo karte the mujh se
mujhe chhoD kar ab wo jaane lage hain
teri aas mein hi chala ja raha hun
wagarna ye raste thakane lage hain
tumhein dil se hum ne nikala nahin par
sabhi KHat tumhaare jalane lage hain
purane the jo gham unhen bhul kar ab
nae KHwab phir hum sajaane lage hain
ye duniya nahin hai jagah dil-lagi ki
so dil hum KHuda se lagane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.