ghazal ho gai jab bhi socha tumhein
ġhazal ho ga.ī jab bhī sochā tumheñ
fasāne bane jab bhī likkhā tumheñ
kabhī dhuup ho tum kabhī chāñdnī
samajh kar bhī koī na samjhā tumheñ
ġharaz koī sūraj se ham ko nahīñ
sahar ho ga.ī jab bhī dekhā tumheñ
mujhe apne dil par baḌā naaz hai
baḌe naaz se jis ne rakkhā tumheñ
kabhī merī āñkhoñ meñ jhāñko zarā
yahāñ koī tum sā milegā tumheñ
ye thī 'ashk' sāhab kī dīvāngī
the tum rū-ba-rū phir bhī DhūñDā tumheñ
ghazal ho gai jab bhi socha tumhein
fasane bane jab bhi likkha tumhein
kabhi dhup ho tum kabhi chandni
samajh kar bhi koi na samjha tumhein
gharaz koi suraj se hum ko nahin
sahar ho gai jab bhi dekha tumhein
mujhe apne dil par baDa naz hai
baDe naz se jis ne rakkha tumhein
kabhi meri aankhon mein jhanko zara
yahan koi tum sa milega tumhein
ye thi 'ashk' sahab ki diwangi
the tum ru-ba-ru phir bhi DhunDa tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.