ghazal ka husn hai aur git ka shabab hai wo
ġhazal kā husn hai aur giit kā shabāb hai vo
nasha hai jis meñ suḳhan kā vahī sharāb hai vo
use na dekh mahaktā huā gulāb hai vo
na jaane kitnī nigāhoñ kā intiḳhāb hai vo
misāl mil na sakī kā.enāt meñ us kī
javāb us kā nahīñ koī lā-javāb hai vo
mirī in āñkhoñ ko tābīr mil nahīñ paatī
jise maiñ dekhtā rahtā huuñ aisā ḳhvāb hai vo
na jaane kitne hijāboñ meñ vo chhupā hai magar
nigāh-e-dil se jo dekhūñ to be-hijāb hai vo
ujāle apne luTā kar vo Duub jā.egā
hasīn sub.h kā raḳhshanda āftāb hai vo
vo mujh se pūchhne aayā hai merā haal 'afzal'
jise batā na sakūñ dil meñ iztirāb hai vo
ghazal ka husn hai aur git ka shabab hai wo
nasha hai jis mein suKHan ka wahi sharab hai wo
use na dekh mahakta hua gulab hai wo
na jaane kitni nigahon ka intiKHab hai wo
misal mil na saki kaenat mein us ki
jawab us ka nahin koi la-jawab hai wo
meri in aankhon ko tabir mil nahin pati
jise main dekhta rahta hun aisa KHwab hai wo
na jaane kitne hijabon mein wo chhupa hai magar
nigah-e-dil se jo dekhun to be-hijab hai wo
ujale apne luTa kar wo Dub jaega
hasin subh ka raKHshanda aaftab hai wo
wo mujh se puchhne aaya hai mera haal 'afzal'
jise bata na sakun dil mein iztirab hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.