ghazal ka rang kuchh ho KHun ke dhaaron se achchha hai
ġhazal kā rang kuchh ho ḳhuun ke dhāroñ se achchhā hai
ye mazmūñ abru-e-jānāñ kā talvāroñ se achchhā hai
hamārī tarh e'lān-e-gunahgārī nahīñ kartā
kam-az-kam shaiḳh ham jaise siyah-kāroñ se achchhā hai
kisī ke paañv ke chhāle hoñ zanjīroñ se behtar haiñ
kisī ke dard kā sahrā ho dīvāroñ se achchhā hai
kahāñ miltī hai be-rang-e-ġharaz jins-e-vafā sāhab
mirī dukkān meñ ye maal bāzāroñ se achchhā hai
mohabbat meñ koī e'zāz apne sar nahīñ letā
ye ḳhādim aap ke pāposh-bardāroñ se achchhā hai
ghazal ka rang kuchh ho KHun ke dhaaron se achchha hai
ye mazmun abru-e-jaanan ka talwaron se achchha hai
hamari tarh e'lan-e-gunahgari nahin karta
kam-az-kam shaiKH hum jaise siyah-karon se achchha hai
kisi ke panw ke chhaale hon zanjiron se behtar hain
kisi ke dard ka sahra ho diwaron se achchha hai
kahan milti hai be-rang-e-gharaz jins-e-wafa sahab
meri dukkan mein ye mal bazaron se achchha hai
mohabbat mein koi e'zaz apne sar nahin leta
ye KHadim aap ke paposh-bardaron se achchha hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 113)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.