ghazal kahti nahin hai bas lab-o-ruKHsar ki baaten
ġhazal kahtī nahīñ hai bas lab-o-ruḳhsār kī bāteñ
bayāñ kartī hai vo ishq-o-vafā aur pyaar kī bāteñ
takallum kī nahīñ muhtāj aur na lab-kushā.ī kī
ishāroñ meñ bayāñ kartī hai hāl-e-zār kī bāteñ
kahīñ kashtī ke hachkole kahīñ ummīd sāhil kī
kabhī maujoñ ke naġhme haiñ kabhī mañjdhār kī bāteñ
latāfat is meñ phūloñ kī to kāñToñ kī chubhan bhī hai
kahīñ ghuñgrū kī āvāzeñ kahīñ talvār kī bāteñ
ye haq kī tarjumāñ munsif rafīq-e-rāzdāñ sab kuchh
junūñ kī anjuman meñ phir dil-e-bedār kī bāteñ
isī meñ jām-e-jam jām-o-subū sāqī-o-mai-ḳhāna
ye aabid kā amal aur hasrat-e-mai-ḳhvār kī bāteñ
qalam kī nok par 'tābish' ka.ī jazbe machalte haiñ
varaq ko rāzdāñ kar leñ kareñ asrār kī bāteñ
ghazal kahti nahin hai bas lab-o-ruKHsar ki baaten
bayan karti hai wo ishq-o-wafa aur pyar ki baaten
takallum ki nahin muhtaj aur na lab-kushai ki
ishaaron mein bayan karti hai haal-e-zar ki baaten
kahin kashti ke hachkole kahin ummid sahil ki
kabhi maujon ke naghme hain kabhi manjdhaar ki baaten
latafat is mein phulon ki to kanTon ki chubhan bhi hai
kahin ghungru ki aawazen kahin talwar ki baaten
ye haq ki tarjuman munsif rafiq-e-raazdan sab kuchh
junun ki anjuman mein phir dil-e-bedar ki baaten
isi mein jam-e-jam jam-o-subu saqi-o-mai-KHana
ye aabid ka amal aur hasrat-e-mai-KHwar ki baaten
qalam ki nok par 'tabish' kai jazbe machalte hain
waraq ko raazdan kar len karen asrar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.