ghazal ki aag qalam ki ghuTan barae-faroKHt
ghazal ki aag qalam ki ghuTan barae-faroKHt
Lucky farooqi Hasrat
MORE BYLucky farooqi Hasrat
ġhazal kī aag qalam kī ghuTan barā.e-faroḳht
ye kaun rakh gayā zehnī thakan barā.e-faroḳht
kitābeñ pheñk ke ġhurbat ne apne hāthoñ se
ye likh liyā hai badan par badan barā.e-faroḳht
bañdhe hue haiñ kisī rabt-e-ġhaib se donoñ
badan barā.e-kafan hai kafan barā.e-faroḳht
uThā ke rakh diye bāzār kī panāhoñ meñ
suḳhan-farosh ne sher-o-suḳhan barā.e-faroḳht
zarūratoñ ne javāñ laḌkiyoñ ke māthe par
ye god rakkhā hai raḳht-e-badan barā.e-faroḳht
ye kis ne rakh diye majbūriyoñ kī manDī meñ
kahīñ pe jism kahīñ pairahan barā.e-faroḳht
ghazal ki aag qalam ki ghuTan barae-faroKHt
ye kaun rakh gaya zehni thakan barae-faroKHt
kitaben phenk ke ghurbat ne apne hathon se
ye likh liya hai badan par badan barae-faroKHt
bandhe hue hain kisi rabt-e-ghaib se donon
badan barae-kafan hai kafan barae-faroKHt
uTha ke rakh diye bazar ki panahon mein
suKHan-farosh ne sher-o-suKHan barae-faroKHt
zaruraton ne jawan laDkiyon ke mathe par
ye god rakkha hai raKHt-e-badan barae-faroKHt
ye kis ne rakh diye majburiyon ki manDi mein
kahin pe jism kahin pairahan barae-faroKHt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.