ghazal ko apni maine sach ke baam-o-dar pe rakkha hai
ġhazal ko apnī maiñ ne sach ke bām-o-dar pe rakkhā hai
mire sheroñ ko us ne tanz ke ḳhanjar pe rakkhā hai
manātā huuñ maiñ aksar ratjage rātoñ ke āñgan meñ
shikasta ḳhvāb kā TukḌā mire bistar pe rakkhā hai
bas itnā soch kar ta.abīr kī sūrat koī nikle
purāne ḳhvāb ko maiñ ne na.e manzar pe rakkhā hai
sitam kī dhuup se bachne kī ḳhātir oḌh letā huuñ
buzurgoñ kī duā kā harf jis chādar pe rakkhā hai
luTā baiThe haiñ apnā kārvāñ anjān rāhoñ meñ
bharosa jab kabhī ham ne kisī rahbar pe rakkhā hai
duā de kar guzar jaate haiñ rahrav jānib-e-manzil
jalā kar ik diyā maiñ ne jo apne dar pe rakkhā hai
mire bachche baḌe ho kar uThā leñge use ik din
zarūrat kā pahāḌ ab tak jo mere sar pe rakkhā hai
zarā dekhe koī shān-e-faqīrī ai 'sa.īd' apnī
ki tāj-o-taḳht ko ham ne sadā Thokar pe rakkhā hai
ghazal ko apni main ne sach ke baam-o-dar pe rakkha hai
mere sheron ko us ne tanz ke KHanjar pe rakkha hai
manata hun main aksar ratjage raaton ke aangan mein
shikasta KHwab ka TukDa mere bistar pe rakkha hai
bas itna soch kar tabir ki surat koi nikle
purane KHwab ko main ne nae manzar pe rakkha hai
sitam ki dhup se bachne ki KHatir oDh leta hun
buzurgon ki dua ka harf jis chadar pe rakkha hai
luTa baiThe hain apna karwan anjaan rahon mein
bharosa jab kabhi hum ne kisi rahbar pe rakkha hai
dua de kar guzar jate hain rahraw jaanib-e-manzil
jala kar ek diya main ne jo apne dar pe rakkha hai
mere bachche baDe ho kar uTha lenge use ek din
zarurat ka pahaD ab tak jo mere sar pe rakkha hai
zara dekhe koi shan-e-faqiri ai 'said' apni
ki taj-o-taKHt ko hum ne sada Thokar pe rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.