ghazal mansub uske nam ho achchha nahin lagta
ġhazal mansūb us ke naam ho achchhā nahīñ lagtā
koī parda-nashīñ badnām ho achchhā nahīñ lagtā
mulāqātoñ ke jugnū aañkh meñ achchhe to lagte haiñ
charāġhoñ kī tarah anjām ho achchhā nahīñ lagtā
chalo ab shahr kī āvārgī se ba.az aa jaa.eñ
havelī gaañv meñ nīlām ho achchhā nahīñ lagtā
mirī ḳhvāhish tirī āñkhoñ se bahte ashk pī jā.ūñ
mirī tauba sipurd-e-jām ho achchhā nahīñ lagtā
gulābī shabnamī shāmeñ bhī mere naam likhnā thiiñ
mire hisse meñ ġham kī shaam ho achchhā nahīñ lagtā
ghazal mansub us ke nam ho achchha nahin lagta
koi parda-nashin badnam ho achchha nahin lagta
mulaqaton ke jugnu aankh mein achchhe to lagte hain
charaghon ki tarah anjam ho achchha nahin lagta
chalo ab shahr ki aawargi se baz aa jaen
haweli ganw mein nilam ho achchha nahin lagta
meri KHwahish teri aankhon se bahte ashk pi jaun
meri tauba sipurd-e-jam ho achchha nahin lagta
gulabi shabnami shamen bhi mere nam likhna thin
mere hisse mein gham ki sham ho achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.