ghazal mein dard ke ehsas ko jagae baghair
ġhazal meñ dard ke ehsās ko jagā.e baġhair
hunar meñ aatā nahīñ dil pe choT khaa.e baġhair
talāsh kartā huā phir rahā huuñ barsoñ se
kahāñ gayā mirā bachpan mujhe batā.e baġhair
na jaane kaun sī duniyā meñ log jiite haiñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā koī basā.e baġhair
ka.ī sitāre baḌe bad-nasīb hote haiñ
vo Duub jaate haiñ palkoñ pe jhilmilā.e baġhair
mujhe ġhazal bhī mirī dādī-māñ sī lagtī hai
nahīñ sulātī kahānī koī sunā.e baġhair
ghazal mein dard ke ehsas ko jagae baghair
hunar mein aata nahin dil pe choT khae baghair
talash karta hua phir raha hun barson se
kahan gaya mera bachpan mujhe batae baghair
na jaane kaun si duniya mein log jite hain
KHayal-o-KHwab ki duniya koi basae baghair
kai sitare baDe bad-nasib hote hain
wo Dub jate hain palkon pe jhilmilae baghair
mujhe ghazal bhi meri dadi-man si lagti hai
nahin sulati kahani koi sunae baghair
- Book : Main Ashok Hoon Main Mizaj Bhee (Pg. 131)
- Author : Ashok Mizaj Badr
- Publication : Shere Acadami, Bhopal (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.