ghazal mein husn ka uske bayan rakhna hai
ġhazal meñ husn kā us ke bayān rakhnā hai
kamāl āñkhoñ meñ goyā zabān rakhnā hai
jahāz-rāñ hunar o hausla na le jā saath
huā ke ruḳh pe agar bādbān rakhnā hai
bharā to hai mirā tarkash magar ye dil hai gudāz
so 'umr bhar mujhe ḳhālī kamān rakhnā hai
diye bujhātī rahī dil bujhā sake to bujhā.e
havā ke sāmne ye imtihān rakhnā hai
bahut hañse mire is faisle pe sāya-nashīñ
ki sar pe dhuup ko ab sā.ebān rakhnā hai
ho intizār-e-bahārāñ jahāñ na ranj-e-ḳhizāñ
'kamāl' aisā bayābāñ makān rakhnā hai
ghazal mein husn ka us ke bayan rakhna hai
kamal aankhon mein goya zaban rakhna hai
jahaz-ran hunar o hausla na le ja sath
hua ke ruKH pe agar baadban rakhna hai
bhara to hai mera tarkash magar ye dil hai gudaz
so 'umr bhar mujhe KHali kaman rakhna hai
diye bujhati rahi dil bujha sake to bujhae
hawa ke samne ye imtihan rakhna hai
bahut hanse mere is faisle pe saya-nashin
ki sar pe dhup ko ab saeban rakhna hai
ho intizar-e-bahaaran jahan na ranj-e-KHizan
'kamal' aisa bayaban makan rakhna hai
- Book : Nai Pakistani Ghazal Naye Dastakhat (Pg. 42)
- Author : Nishat Shahid
- Publication : Miaar Publications K 20 C Shaikh Saraye Phase2 New Delhi (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.