ghazal wahi hai jo ho shaKH-e-gul-nishan ki tarah
ġhazal vahī hai jo ho shāḳh-e-gul-nishāñ kī tarah
asar ho jis meñ jamāl-e-parī-ruḳhāñ kī tarah
samajh rahe the ki āsāñ hai ishq kī manzil
havās uḌne lage gard-e-kārvāñ kī tarah
agar hai dil meñ kashish ḳhud qarīb ā.eñge
abhī to duur haiñ vo mujh se āsmāñ kī tarah
masarratoñ ke ḳhazīne bhī us pe qurbāñ haiñ
aziiz mujh ko tirā ġham hai apnī jaañ kī tarah
sunā hai jab se maiñ ḳhalvat-guzīñ huuñ kuchh ahbāb
mirī talāsh meñ haiñ marg-e-nā-gahāñ kī tarah
jahāñ jahāñ se guzarte haiñ ahl-e-ishq-o-vafā
nuqūsh-e-rāh chamakte haiñ kahkashāñ kī tarah
suḳhan-shanās na hoñ jis maqām par 'shāriq'
vahāñ haiñ sher-o-ġhazal jins-e-rā.egāñ kī tarah
ghazal wahi hai jo ho shaKH-e-gul-nishan ki tarah
asar ho jis mein jamal-e-pari-ruKHan ki tarah
samajh rahe the ki aasan hai ishq ki manzil
hawas uDne lage gard-e-karwan ki tarah
agar hai dil mein kashish KHud qarib aaenge
abhi to dur hain wo mujh se aasman ki tarah
masarraton ke KHazine bhi us pe qurban hain
aziz mujh ko tera gham hai apni jaan ki tarah
suna hai jab se main KHalwat-guzin hun kuchh ahbab
meri talash mein hain marg-e-na-gahan ki tarah
jahan jahan se guzarte hain ahl-e-ishq-o-wafa
nuqush-e-rah chamakte hain kahkashan ki tarah
suKHan-shanas na hon jis maqam par 'shaariq'
wahan hain sher-o-ghazal jins-e-raegan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.