ghazlen bhi bahut likkhin aur git bahut gae
ġhazleñ bhī bahut likkhīñ aur giit bahut gaa.e
ham sher kī azmat ko lekin na pahuñch paa.e
kuchh aisā anokhā bhī andāz na thā apnā
kuchh log magar phir bhī ham ko na samajh paa.e
ham dil kī amīrī se is darja tavangar the
jo ḳhaak milī ham ko ham sonā banā laa.e
miTTī mere khetoñ kī hathiyā lī asīroñ ne
aur jitne gharauñde the yāroñ ne mire Dhaa.e
rahzan se bachā laa.e sab māl-o-matā' apnī
ghar luuT ga.e lekin jo the mire hamsā.e
ham ahl-e-hunar ab to is haal pe qaane haiñ
nai dhuup hai aariz kī nai gesuoñ ke saa.e
vo ahd-e-javānī jo is shahr meñ kaaTā thā
ai kaash kabhī vo bhī ik roz palaT aa.e
ye aag mire ghar meñ hai apne charāġhoñ kī
dushman ko zarūrat kyā chingārī vo bhaḌkā.e
dushman kā nasīb ab to ye apnī karāmat hai
dahlīz pe us kī ham ne.amat ye luTā aa.e
ghazlen bhi bahut likkhin aur git bahut gae
hum sher ki azmat ko lekin na pahunch pae
kuchh aisa anokha bhi andaz na tha apna
kuchh log magar phir bhi hum ko na samajh pae
hum dil ki amiri se is darja tawangar the
jo KHak mili hum ko hum sona bana lae
miTTi mere kheton ki hathiya li asiron ne
aur jitne gharaunde the yaron ne mere Dhae
rahzan se bacha lae sab mal-o-mata' apni
ghar luT gae lekin jo the mere hamsae
hum ahl-e-hunar ab to is haal pe qane hain
nai dhup hai aariz ki nai gesuon ke sae
wo ahd-e-jawani jo is shahr mein kaTa tha
ai kash kabhi wo bhi ek roz palaT aae
ye aag mere ghar mein hai apne charaghon ki
dushman ko zarurat kya chingari wo bhaDkae
dushman ka nasib ab to ye apni karamat hai
dahliz pe us ki hum neamat ye luTa aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.