ghazlon ko jism soch ko unwan mil gae
ġhazloñ ko jism soch ko unvān mil ga.e
vo kyā mile ke fikr ke sāmān mil ga.e
dil se chale to aañkh kī bastī meñ aa ga.e
raste hamāre dard ko āsān mil ga.e
dekhā unheñ to jism ke sab taar baj uThe
āñkhoñ ko ḳhvāb qalb ko armān mil ga.e
be-rabt dhaḌkanoñ ko na.e rābte mile
mad.hoshiyoñ ko phir na.e ausān mil ga.e
ghazlon ko jism soch ko unwan mil gae
wo kya mile ke fikr ke saman mil gae
dil se chale to aankh ki basti mein aa gae
raste hamare dard ko aasan mil gae
dekha unhen to jism ke sab tar baj uThe
aankhon ko KHwab qalb ko arman mil gae
be-rabt dhaDkanon ko nae rabte mile
madhoshiyon ko phir nae ausan mil gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.