ghazlon mein ab wo rang na ranai rah gai
ġhazloñ meñ ab vo rañg na rānā.ī rah ga.ī
kuchh rah ga.ī to qāfiya-paimā.ī rah ga.ī
lafzoñ kā ye hisār bulandī na chhū sakā
yuuñ bhī mire ḳhayāl kī gahrā.ī rah ga.ī
kyā sochiye ki rishta-e-dīvār kyā huā
dhūpoñ se ab jo mārka-ārā.ī rah ga.ī
kab jaane saath chhoḌ deñ dil kī ye dhaḌkaneñ
har vaqt sochtī yahī tanhā.ī rah ga.ī
apne hī fan kī aag meñ jalte rahe 'shamīm'
hoñToñ pe sab ke hausla-afzā.ī rah ga.ī
ghazlon mein ab wo rang na ranai rah gai
kuchh rah gai to qafiya-paimai rah gai
lafzon ka ye hisar bulandi na chhu saka
yun bhi mere KHayal ki gahrai rah gai
kya sochiye ki rishta-e-diwar kya hua
dhupon se ab jo marka-arai rah gai
kab jaane sath chhoD den dil ki ye dhaDkanen
har waqt sochti yahi tanhai rah gai
apne hi fan ki aag mein jalte rahe 'shamim'
honTon pe sab ke hausla-afzai rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.