ghazlon se tajsim hui takmil hui
ġhazloñ se tajsīm huī takmīl huī
nuqte nuqte se merī tarsīl huī
noch rahī hai ruuh ke reshe reshe ko
ik ḳhvāhish thī rafta-rafta chiil huī
marne lagā rag-rag meñ saffākī kā zahr
shahr-e-dil kī āb-o-havā tabdīl huī
ek jahān-e-lā-yā’nī ġharqāb huā
ek jahān-e-mā’nī kī tashkīl huī
misr-e-jāñ 'sāqib' sabz-o-shādāb huā
aañkh mirī jab se dariyā-e-nīl huī
ghazlon se tajsim hui takmil hui
nuqte nuqte se meri tarsil hui
noch rahi hai ruh ke reshe reshe ko
ek KHwahish thi rafta-rafta chil hui
marne laga rag-rag mein saffaki ka zahr
shahr-e-dil ki aab-o-hawa tabdil hui
ek jahan-e-la-ya’ni gharqab hua
ek jahan-e-ma’ni ki tashkil hui
misr-e-jaan 'saqib' sabz-o-shadab hua
aankh meri jab se dariya-e-nil hui
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 40)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.