gesu-e-yar ko chehre pe bikharta dekha
gesū-e-yār ko chehre pe bikhartā dekhā
mo.ajiza dekhiye din raat ko yakjā dekhā
yuuñ shab-e-hijr meñ un ko bhī taḌaptā dekhā
bistar-e-marg pe goyā ki masīhā dekhā
ḳhud ko bhī husn kā dīvāna samajh baiThā hai
us parī-chehra kā vaa.iz ne jo shīsha dekhā
kashmakash qatra-e-āñsū kī tirī palkoñ par
ham ne girte hue taare ko laraztā dekhā
phir vahī yād-e-guzishta vahī uljhan vahī ġham
dil ko un bāda-o-sāġhar se bhī bahlā dekhā
gesu-e-yar ko chehre pe bikharta dekha
moajiza dekhiye din raat ko yakja dekha
yun shab-e-hijr mein un ko bhi taDapta dekha
bistar-e-marg pe goya ki masiha dekha
KHud ko bhi husn ka diwana samajh baiTha hai
us pari-chehra ka waiz ne jo shisha dekha
kashmakash qatra-e-ansu ki teri palkon par
hum ne girte hue tare ko larazta dekha
phir wahi yaad-e-guzishta wahi uljhan wahi gham
dil ko un baada-o-saghar se bhi bahla dekha
- Book : Saaya-e-gul (Pg. 146)
- Author : Aslam Kiratpuri
- Publication : Critive Group, Mumbai (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.