ghaw jitne gahre hon main bhul jata hun sabhi
ghaav jitne gahre hoñ maiñ bhuul jaatā huuñ sabhī
jān-e-jāñ jān-e-jigar ko muskurātā dekh kar
phīkā sāzīna lage alġhūza barbat par mujhe
jab kabhī jānāñ ko sun luuñ gungunātā dekh kar
duur har ik ġham kare aisī mirī dam-sāz hai
thaam le mushkil meñ mujh ko Dagmagātā dekh kar
maañd paḌ jaatī hai ujlī māhtābī har kiran
diip un āñkhoñ meñ raushan jhilmilātā dekh kar
ghaw jitne gahre hon main bhul jata hun sabhi
jaan-e-jaan jaan-e-jigar ko muskuraata dekh kar
phika sazina lage alghuza barbat par mujhe
jab kabhi jaanan ko sun lun gungunata dekh kar
dur har ek gham kare aisi meri dam-saz hai
tham le mushkil mein mujh ko Dagmagata dekh kar
mand paD jati hai ujli mahtabi har kiran
dip un aankhon mein raushan jhilmilata dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.