ghabra gae the rah ko pur-Khaar dekh kar
ghabrā ga.e the raah ko pur-ḳhār dekh kar
himmat bañdhī hai qāfila-e-sālār dekh kar
logoñ ko un pe aaj bhī hai rashk aa rahā
be-dām bik ga.e jo ḳharīdār dekh kar
aaqā tumhāre dam se hai rañgīni-e-hayāt
ham jī rahe haiñ bārish-e-anvār dekh kar
chhāñv meñ koī jal rahā hai ye ḳhabar na thī
aa.e the ham to sāya-e-dīvār dekh kar
phir lauT kar na jā sake is rāhguzar se
Thahre the yūñhī zīnat-e-bāzār dekh kar
har zaḳhm ab gulāb kī mānind surḳh hai
jī ḳhush huā hai shiddat-e-āzār dekh kar
ghabra gae the rah ko pur-KHar dekh kar
himmat bandhi hai qafila-e-salar dekh kar
logon ko un pe aaj bhi hai rashk aa raha
be-dam bik gae jo KHaridar dekh kar
aaqa tumhaare dam se hai rangini-e-hayat
hum ji rahe hain barish-e-anwar dekh kar
chhanw mein koi jal raha hai ye KHabar na thi
aae the hum to saya-e-diwar dekh kar
phir lauT kar na ja sake is rahguzar se
Thahre the yunhi zinat-e-bazar dekh kar
har zaKHm ab gulab ki manind surKH hai
ji KHush hua hai shiddat-e-azar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.