ghabra kar aflak ki dahshat-gardi se
ghabrā kar aflāk kī dahshat-gardī se
ham ne ḳhud ko toḌ diyā bedardī se
jab ḳhud ko har taur bayābāñ kar Daalā
tab jā kar baaz aa.e dasht-navardī se
ab bhī kyā kuchh kahne kī gunjā.ish hai
sab kuchh zāhir hai chehre kī zardī se
ham ik baar bhaTak kar itnā bhaTke haiñ
ab tak Darte haiñ āvāragardī se
ham bhī ishq kī pagDanDī se guzre haiñ
vāqif haiñ pech-o-ḳham kī sar-dardī se
ghabra kar aflak ki dahshat-gardi se
hum ne KHud ko toD diya bedardi se
jab KHud ko har taur bayaban kar Dala
tab ja kar baz aae dasht-nawardi se
ab bhi kya kuchh kahne ki gunjaish hai
sab kuchh zahir hai chehre ki zardi se
hum ek bar bhaTak kar itna bhaTke hain
ab tak Darte hain aawaragardi se
hum bhi ishq ki pagDanDi se guzre hain
waqif hain pech-o-KHam ki sar-dardi se
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 46)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.