ghabra ke sham-e-hijr ki tanhaiyon se hum
ghabrā ke shām-e-hijr kī tanhā.iyoñ se ham
bahle na dil kī anjuman-ārā.iyoñ se ham
phir dil ko ‘arz-e-shauq ke qābil banā diyā
phir muztarib haiñ un kī masīhā.iyoñ se ham
kuchh dil kā ehtimām hai kuchh hai nazar kā faiz
vāqif haiñ ḳhuub husn kī rā'nā.iyoñ se ham
ab kyā kareñ ki zabt kī had se guzar ga.e
ḳhud munfa’il haiñ shauq kī pinhā.iyoñ se ham
sajde kar ai nigāh ki mahrūm ho ga.e
is āstāñ pe nāsiya-farsā.iyoñ se ham
rā'nā.ī-e-nigāh to dekho ki husn ko
begāna kar rahe haiñ ḳhud-ārā.iyoñ se ham
karnī paḌeñgī 'ishq kī nādāniyāñ qubūl
tang aa ga.e haiñ 'aql kī dānā.iyoñ se ham
jalva-gah-e-majāz-o-haqīqat kī aaḌ meñ
khelā kiye haiñ apnī hī parchhā.iyoñ se ham
jin meñ 'hazīñ' nazākat-e-ehsās hī na ho
baaz aa.e aisī qāfiya-paimā.iyoñ se ham
ghabra ke sham-e-hijr ki tanhaiyon se hum
bahle na dil ki anjuman-araiyon se hum
phir dil ko ‘arz-e-shauq ke qabil bana diya
phir muztarib hain un ki masihaiyon se hum
kuchh dil ka ehtimam hai kuchh hai nazar ka faiz
waqif hain KHub husn ki ra'naiyon se hum
ab kya karen ki zabt ki had se guzar gae
KHud munfa’il hain shauq ki pinhaiyon se hum
sajde kar ai nigah ki mahrum ho gae
is aastan pe nasiya-farsaiyon se hum
ra'nai-e-nigah to dekho ki husn ko
begana kar rahe hain KHud-araiyon se hum
karni paDengi 'ishq ki nadaniyan qubul
tang aa gae hain 'aql ki danaiyon se hum
jalwa-gah-e-majaz-o-haqiqat ki aaD mein
khela kiye hain apni hi parchhaiyon se hum
jin mein 'hazin' nazakat-e-ehsas hi na ho
baz aae aisi qafiya-paimaiyon se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.