ghabrae hue log hain anjaane se Dar se
ghabrā.e hue log haiñ anjāne se Dar se
har ek bashar ḳhauf-zada duuje bashar se
dūbhar hai yahāñ aaj to bāhar hī nikalnā
mahfūz nahīñ koī zamāne kī nazar se
anjānī Dagar lagne lagī ab mujhe āsāñ
kuchh log abhī lauT ke aa.e haiñ safar se
bedard piyā jaisā tū kyoñ abr banā hai
kab se hī lagā aas zamīñ baiThī tū barse
itnī to uThā le o naman apnī ḳhudī ko
dushman bhī tirā karne ko yaarī tirī tarse
ghabrae hue log hain anjaane se Dar se
har ek bashar KHauf-zada duje bashar se
dubhar hai yahan aaj to bahar hi nikalna
mahfuz nahin koi zamane ki nazar se
anjaani Dagar lagne lagi ab mujhe aasan
kuchh log abhi lauT ke aae hain safar se
bedard piya jaisa tu kyon abr bana hai
kab se hi laga aas zamin baiThi tu barse
itni to uTha le o naman apni KHudi ko
dushman bhi tera karne ko yari teri tarse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.