ghabrā.e jitnā maut kī dil-bastagī se ham
begāna utne hote ga.e zindagī se ham
kyūñki badal deñ ne.amat-e-ġham ko ḳhushī se ham
kis tarah maañg laa.eñ tabassum kisī se ham
kuchh aisī bāteñ siikh ga.e dostī se ham
karte nahīñ ab apnā ta.āruf kisī se ham
kah do shab-e-firāq ke tāroñ se Duub jaao
mānūs ab nahīñ haiñ kisī raushnī se ham
ḳhāmoshiyoñ ne qissa-e-ġham bhī bhulā diyā
ab baat bhī kareñ to kareñ kyā kisī se ham
ḳhud apne dil se ho ga.e begāna is tarah
jaise jhijak rahe hoñ kisī ajnabī se ham
āḳhir ko chalne vāloñ ne pahchān hī liyā
nikle jo sar jhukā.e tumhārī galī se ham
shāyad isī se ashk bhī āñkhoñ meñ aa ga.e
tārīkiyoñ ko dekh na leñ raushnī se ham
jis ne jalā diye haiñ tamannāoñ ke charāġh
aajiz se ho ga.e haiñ usī zindagī se ham
ab 'fazl' hasrateñ haiñ na fikr-o-nazar meñ zau
jaañ nazr kar rahe haiñ baḌī bekasī se ham
ghabrae jitna maut ki dil-bastagi se hum
begana utne hote gae zindagi se hum
kyunki badal den neamat-e-gham ko KHushi se hum
kis tarah mang laen tabassum kisi se hum
kuchh aisi baaten sikh gae dosti se hum
karte nahin ab apna taaruf kisi se hum
kah do shab-e-firaq ke taron se Dub jao
manus ab nahin hain kisi raushni se hum
KHamoshiyon ne qissa-e-gham bhi bhula diya
ab baat bhi karen to karen kya kisi se hum
KHud apne dil se ho gae begana is tarah
jaise jhijak rahe hon kisi ajnabi se hum
aaKHir ko chalne walon ne pahchan hi liya
nikle jo sar jhukae tumhaari gali se hum
shayad isi se ashk bhi aankhon mein aa gae
tarikiyon ko dekh na len raushni se hum
jis ne jala diye hain tamannaon ke charagh
aajiz se ho gae hain usi zindagi se hum
ab 'fazl' hasraten hain na fikr-o-nazar mein zau
jaan nazr kar rahe hain baDi bekasi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.