ghabraiye kyun zindagi be-kaif agar hai
ghabrā.iye kyuuñ zindagī be-kaif agar hai
āḳhir shab-e-tārīk kā anjām sahar hai
vo shaam kī sūrat hai na vo rañg-e-sahar hai
kis kaukab-e-manhūs kā yārab ye asar hai
afsāna-e-ġham sīna-e-bulbul meñ hai fariyād
aurāq-e-gul-e-tar meñ ba-unvān-e-digar hai
be-dard hai insāñ to haiñ sab is ke hunar aib
hai dil meñ agar dard to har aib hunar hai
sābit hai ba-har-taur ġham-e-ishq ram-e-husn
ārām ko pūchho to idhar hai na udhar hai
masnūa ko sān.e.a se judā kar nahīñ saktā
ā.īne meñ aks-e-hunar-e-ā.ina-gar hai
rotī huī āñkhoñ meñ hai ġharqāb tabassum
punjab hai dehlī meñ jo ab rāhguzar hai
phūloñ meñ tirā rañg hai kāñToñ meñ tirī nok
ye husn tirā hai ki mirā husn-e-nazar hai
'mahrūm' magar ishq tumhārā hai riyā.ī
fariyād meñ tāsīr na aahoñ meñ asar hai
ghabraiye kyun zindagi be-kaif agar hai
aaKHir shab-e-tarik ka anjam sahar hai
wo sham ki surat hai na wo rang-e-sahar hai
kis kaukab-e-manhus ka yarab ye asar hai
afsana-e-gham sina-e-bulbul mein hai fariyaad
auraq-e-gul-e-tar mein ba-unwan-e-digar hai
be-dard hai insan to hain sab is ke hunar aib
hai dil mein agar dard to har aib hunar hai
sabit hai ba-har-taur gham-e-ishq ram-e-husn
aaram ko puchho to idhar hai na udhar hai
masnua ko sanea se juda kar nahin sakta
aaine mein aks-e-hunar-e-aina-gar hai
roti hui aankhon mein hai gharqab tabassum
punjab hai dehli mein jo ab rahguzar hai
phulon mein tera rang hai kanTon mein teri nok
ye husn tera hai ki mera husn-e-nazar hai
'mahrum' magar ishq tumhaara hai riyai
fariyaad mein tasir na aahon mein asar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.