ghaDi bhar muskurao muskurao
ghaḌī bhar muskurāo muskurāo
haqīqat bhuul jaao bhuul jaao
nazar par kauñdhtī jaatī hai ḳhushiyāñ
ġhamoñ kī lau jalāo lau jalāo
bhaTak kar aa gayā thā ḳhvāb koī
ise phir DhūñD laao DhūñD laao
zarā sī choT se hotā huuñ ghāyal
jo chāho āzmāo āzmāo
zehn ke mulk meñ sūkhā paḌā hai
kabhī to yaad aao yaad aao
baḌī hī nā-tavāñ dhaḌkan hai merī
ise yuuñ mat bhagāo mat bhagāo
abhī to raat ne karvaT badal dī
'alaḳh' tum aur gaao aur gaao
ghaDi bhar muskurao muskurao
haqiqat bhul jao bhul jao
nazar par kaundhti jati hai KHushiyan
ghamon ki lau jalao lau jalao
bhaTak kar aa gaya tha KHwab koi
ise phir DhunD lao DhunD lao
zara si choT se hota hun ghayal
jo chaho aazmao aazmao
zehn ke mulk mein sukha paDa hai
kabhi to yaad aao yaad aao
baDi hi na-tawan dhaDkan hai meri
ise yun mat bhagao mat bhagao
abhi to raat ne karwaT badal di
'alaKH' tum aur gao aur gao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.