ghaDi-do-ghaDi ke liye kabhi jo tum aae bhi wahi shan se
ghaḌī-do-ghaḌī ke liye kabhī jo tum aa.e bhī vahī shaan se
hameñ shikva hai to isī kā hai kabhī hausle se milā karo
abhī āsmāñ kī jo hai nazar to usī kā zo.am hai har taraf
ye to vaqt vaqt kī baat hai mire haal par na hañsā karo
kabhī lāla-zār thā ye chaman jo ki ab ḳhizāñ meñ badal gayā
kahīñ bāġhbāñ kā patā nahīñ chalo baḌh ke us kā patā karo
jo sañvar sake to sañvār do mire kār-zār-e-hayāt ko
jo sitam huā vo bahut huā na sitam ab is se sivā karo
ye abhī abhī jo mirī taraf se nazar bachā ke guzar ga.e
ye vahī haiñ log jo kahte the ki milā ke haath chalā karo
mirā dil bhī ḳhuuñ hai jigar bhī ḳhuuñ jo gila hai tum se vo kyā kahūñ
ise lo bayāz-e-'nasīm' hai kabhī dil kahe to paḌhā karo
ghaDi-do-ghaDi ke liye kabhi jo tum aae bhi wahi shan se
hamein shikwa hai to isi ka hai kabhi hausle se mila karo
abhi aasman ki jo hai nazar to usi ka zoam hai har taraf
ye to waqt waqt ki baat hai mere haal par na hansa karo
kabhi lala-zar tha ye chaman jo ki ab KHizan mein badal gaya
kahin baghban ka pata nahin chalo baDh ke us ka pata karo
jo sanwar sake to sanwar do mere kar-zar-e-hayat ko
jo sitam hua wo bahut hua na sitam ab is se siwa karo
ye abhi abhi jo meri taraf se nazar bacha ke guzar gae
ye wahi hain log jo kahte the ki mila ke hath chala karo
mera dil bhi KHun hai jigar bhi KHun jo gila hai tum se wo kya kahun
ise lo bayaz-e-'nasim' hai kabhi dil kahe to paDha karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.