ghaDi ghaDi hai hamein apne meherban ka KHayal
ghaḌī ghaḌī hai hameñ apne meherbāñ kā ḳhayāl
na kuchh zamīñ kī ḳhabar hai na āsmāñ kā ḳhayāl
ye be-ḳhudī hai ki jis din se dil lagā baiThe
kahāñ kā hosh kahāñ kī ḳhabar kahāñ kā ḳhayāl
uḌe hue haiñ raqīboñ ke hosh pe ab tak
jo dil meñ aap ke aaya thā imtihāñ kā ḳhayāl
adū se hañste rahe raat bhar sar-e-mahfil
kiyā na tum ne mire chasm-e-ḳhūñ-fashāñ kā ḳhayāl
kisī ko do na sar-e-bazm be-dhaḌak gaalī
ḳhudā ke vāste rakkho zarā zabāñ kā ḳhayāl
qadam jo bhuul ke rakkheñ rah-e-mohabbat meñ
to ḳhizr ko bhī na ho umr-e-jāvedāñ kā ḳhayāl
lagā na ḳhuld meñ bhī dil maiñ kyā bayāñ karūñ
vahāñ bhī mujh se na chhūTā tire makāñ kā ḳhayāl
maiñ us taraf kabhī ruḳh bhuul kar nahīñ kartā
maiñ kyā batā.ūñ jab aatā hai pāsbāñ kā ḳhayāl
ḳhudā ke vāste maano mirā kahā ai 'ranj'
ḳhudā ke vāste chhoḌo ye hai kahāñ kā ḳhayāl
ghaDi ghaDi hai hamein apne meherban ka KHayal
na kuchh zamin ki KHabar hai na aasman ka KHayal
ye be-KHudi hai ki jis din se dil laga baiThe
kahan ka hosh kahan ki KHabar kahan ka KHayal
uDe hue hain raqibon ke hosh pe ab tak
jo dil mein aap ke aaya tha imtihan ka KHayal
adu se hanste rahe raat bhar sar-e-mahfil
kiya na tum ne mere chasm-e-KHun-fashan ka KHayal
kisi ko do na sar-e-bazm be-dhaDak gali
KHuda ke waste rakkho zara zaban ka KHayal
qadam jo bhul ke rakkhen rah-e-mohabbat mein
to KHizr ko bhi na ho umr-e-jawedan ka KHayal
laga na KHuld mein bhi dil main kya bayan karun
wahan bhi mujh se na chhuTa tere makan ka KHayal
main us taraf kabhi ruKH bhul kar nahin karta
main kya bataun jab aata hai pasban ka KHayal
KHuda ke waste mano mera kaha ai 'ranj'
KHuda ke waste chhoDo ye hai kahan ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.