ghaDi ki suiyan Tik-Tik suna rahi hain mujhe
ghaḌī kī sūiyāñ Tik-Tik sunā rahī haiñ mujhe
guzarte vaqt se shāyad Darā rahī haiñ mujhe
tire bayān ko lafzoñ kī kyā zarūrat hai
ki ye ḳhamoshiyāñ sab kuchh batā rahī haiñ mujhe
to kyā huā jo tirā pyaar mil nahīñ paayā
tirī ye nafrateñ bhī raas aa rahī haiñ mujhe
havā kī shoḳhiyāñ batlā rahī haiñ terā pata
hasīn titliyāñ rasta dikhā rahī haiñ mujhe
shab-e-firāq mire ham-navā tirī yādeñ
ġhamoñ kī taal pe har dam nachā rahī haiñ mujhe
koī to ho jo mujhe rok le sadā de kar
mirī ye hasrateñ har jā ghumā rahī haiñ mujhe
'zakī' ye raah ke patthar bhī mere rahbar haiñ
ki in kī Thokareñ chalnā sikhā rahī haiñ mujhe
ghaDi ki suiyan Tik-Tik suna rahi hain mujhe
guzarte waqt se shayad Dara rahi hain mujhe
tere bayan ko lafzon ki kya zarurat hai
ki ye KHamoshiyan sab kuchh bata rahi hain mujhe
to kya hua jo tera pyar mil nahin paya
teri ye nafraten bhi ras aa rahi hain mujhe
hawa ki shoKHiyan batla rahi hain tera pata
hasin titliyan rasta dikha rahi hain mujhe
shab-e-firaq mere ham-nawa teri yaaden
ghamon ki tal pe har dam nacha rahi hain mujhe
koi to ho jo mujhe rok le sada de kar
meri ye hasraten har ja ghuma rahi hain mujhe
'zaki' ye rah ke patthar bhi mere rahbar hain
ki in ki Thokaren chalna sikha rahi hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.