ghaDiyan ajib hoti hain kuchh intizar ki
ghaḌiyāñ ajiib hotī haiñ kuchh intizār kī
hālat na pūchiyegā dil-e-be-qarār kī
āñkheñ har ek shaḳhs kī rone lagīñ lahū
mausam ne ruḳhsatī jo sunā.ī bahār kī
patthar bhī mujh ko raah ke pahchānñe lage
kuchh aise ḳhaak chhānī hai us ke dayār kī
dāman tirā jab us ko mayassar na aa sakā
āshiq ne tere rāh-e-junūñ iḳhtiyār kī
ham mar ga.e the us se bichhaḌte hī ai 'bilāl'
ab jī rahe haiñ le ke ye sāñseñ udhār kī
ghaDiyan ajib hoti hain kuchh intizar ki
haalat na puchiyega dil-e-be-qarar ki
aankhen har ek shaKHs ki rone lagin lahu
mausam ne ruKHsati jo sunai bahaar ki
patthar bhi mujh ko rah ke pahchanne lage
kuchh aise KHak chhani hai us ke dayar ki
daman tera jab us ko mayassar na aa saka
aashiq ne tere rah-e-junun iKHtiyar ki
hum mar gae the us se bichhaDte hi ai 'bilal'
ab ji rahe hain le ke ye sansen udhaar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.