Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ek nigah mein qissa tamam hota hai

Jawad Sheikh

bas ek nigah mein qissa tamam hota hai

Jawad Sheikh

MORE BYJawad Sheikh

    bas ik nigāh meñ qissa tamām hotā hai

    to kyā ye vāqa'ī itnā kaam hotā hai

    kisī ke sard ravayye pe ḳhāmushī lihāf

    ye intiqām bhī kyā intiqām hotā hai

    kabhī kabhī koī luqma kahīñ kahīñ koī kaam

    halāl hote hue bhī harām hotā hai

    firāq-e-yār se kyā kyā umiid thī lekin

    ye ranj bhī koī do-chār gaam hotā hai

    asiir asiir hotā hai qaid koī bhī ho

    kisī bhī shakl meñ ho daam daam hotā hai

    shu'ūr jis meñ na ho us meñ shā'irī kyā ho

    jo ḳhush-badan ho vahī ḳhush-ḳhirām hotā hai

    vo shaḳhs yuuñ to kisī kaam nahīñ lekin

    sunā hai us ke yahāñ intizām hotā hai

    kabhī kabhī baḌī mushkil meñ Daal dete haiñ

    vo jin dil meñ bahut ehtirām hotā hai

    khaḌā huuñ kitne rishtoñ ko thaam kar 'javvād'

    aur aise meñ jo mirā inhidām hotā hai

    bas ek nigah mein qissa tamam hota hai

    to kya ye waqa'i itna sa kaam hota hai

    kisi ke sard rawayye pe KHamushi ka lihaf

    ye intiqam bhi kya intiqam hota hai

    kabhi kabhi koi luqma kahin kahin koi kaam

    halal hote hue bhi haram hota hai

    firaq-e-yar se kya kya umid thi lekin

    ye ranj bhi koi do-chaar gam hota hai

    asir asir hi hota hai qaid koi bhi ho

    kisi bhi shakl mein ho dam dam hota hai

    shu'ur jis mein na ho us mein sha'iri kya ho

    jo KHush-badan ho wahi KHush-KHiram hota hai

    wo shaKHs yun to kisi kaam ka nahin lekin

    suna hai us ke yahan intizam hota hai

    kabhi kabhi baDi mushkil mein Dal dete hain

    wo jin ka dil mein bahut ehtiram hota hai

    khaDa hun kitne hi rishton ko tham kar 'jawwad'

    aur aise mein jo mera inhidam hota hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now