ghane jangalon mein kiran rah gai
ghane jangaloñ meñ kiran rah ga.ī
hamāre badan meñ thakan rah ga.ī
ujāloñ ko tanhā.iyāñ pī ga.iiñ
añdheroñ meñ ġharq anjuman rah ga.ī
kahīñ rishta-e-jān-o-tan kho gayā
kahīñ saath tāb-e-badan rah ga.ī
lahū ro ke kahtā rahā maiñ ġhazal
pas-e-parda fikr-e-suḳhan rah ga.ī
maiñ gūñge safar kā musāfir rahā
har ik gaam par ik jalan rah ga.ī
jo bistar se uTThā sañbhalte hue
jabīn-e-sahar par shikan rah ga.ī
'zafar' jis se ḳhushbū kī lazzat milī
bikhar kar vo shāḳh-e-chaman rah ga.ī
ghane jangalon mein kiran rah gai
hamare badan mein thakan rah gai
ujalon ko tanhaiyan pi gain
andheron mein gharq anjuman rah gai
kahin rishta-e-jaan-o-tan kho gaya
kahin sath tab-e-badan rah gai
lahu ro ke kahta raha main ghazal
pas-e-parda fikr-e-suKHan rah gai
main gunge safar ka musafir raha
har ek gam par ek jalan rah gai
jo bistar se uTTha sanbhalte hue
jabin-e-sahar par shikan rah gai
'zafar' jis se KHushbu ki lazzat mili
bikhar kar wo shaKH-e-chaman rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.