ghanTiyan bajne se pahle sham hone ke qarib
ghanTiyāñ bajne se pahle shaam hone ke qarīb
chhoḌ jaatā maiñ tirā gaañv magar mere nasīb
dhuup phailī to kahā dīvār ne jhuk kar mujhe
mil gale mere musāfir, mere saa.e ke habīb
lauT aa.e haiñ shafaq se log be-nīl-e-murām
rañg palkoñ se uThā laa.e magar tere najīb
maiñ vo pardesī nahīñ jis kā na ho pursāñ koī
sabz bāġhoñ ke parinde mere vatanoñ ke naqīb
ghanTiyan bajne se pahle sham hone ke qarib
chhoD jata main tera ganw magar mere nasib
dhup phaili to kaha diwar ne jhuk kar mujhe
mil gale mere musafir, mere sae ke habib
lauT aae hain shafaq se log be-nil-e-muram
rang palkon se uTha lae magar tere najib
main wo pardesi nahin jis ka na ho pursan koi
sabz baghon ke parinde mere watanon ke naqib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.