ghaplon mein ek aisa bhi ghapla dikhai de
ghaploñ meñ ek aisā bhī ghaplā dikhā.ī de
gañjoñ ke haath meñ mujhe kanghā dikhā.ī de
vaa.iz ke ghar meñ ḳhud mujhe lafḌā dikhā.ī de
guḌ kā parhez gulgule khānā dikhā.ī de
bachche yatīm-ḳhāne ke mariyal haiñ sab magar
munshī yatīm-ḳhāne kā bhaiñsā dikhā.ī de
nairangī-e-hayāt ke qurbān jā.iye
murġhī ke badle anDoñ pe murġhā dikhā.ī de
dāvat baġhair kaise ghusūñ jab ki gate par
hāthoñ meñ mezbān ke DanDā dikhā.ī de
baavā kī jab namāz-e-janāza paḌhī ga.ī
masjid se duur beTā Tahaltā dikhā.ī de
begam kī god meñ mujhe har saal ik na ek
munnī dikhā.ī de kabhī munnā dikhā.ī de
chehre pe jis ke naak hai gaz bhar kī dosto
dekho jo ġhaur se use nakTā dikhā.ī de
jo tīs-mār-ḳhāñ hai vo daadā hai shahr kā
vo bhī to ghar meñ jorū se Dartā dikhā.ī de
hai bāliġhoñ kī film magar jā ke dekhiye
nā-bāliġhoñ kā haal pe qabza dikhā.ī de
service ke intizār meñ 'pāgal' kā thopDā
guThlī baġhair aam kā chhilkā dikhā.ī de
ghaplon mein ek aisa bhi ghapla dikhai de
ganjon ke hath mein mujhe kangha dikhai de
waiz ke ghar mein KHud mujhe lafDa dikhai de
guD ka parhez gulgule khana dikhai de
bachche yatim-KHane ke mariyal hain sab magar
munshi yatim-KHane ka bhainsa dikhai de
nairangi-e-hayat ke qurban jaiye
murghi ke badle anDon pe murgha dikhai de
dawat baghair kaise ghusun jab ki gate par
hathon mein mezban ke DanDa dikhai de
bawa ki jab namaz-e-janaza paDhi gai
masjid se dur beTa Tahalta dikhai de
begam ki god mein mujhe har sal ek na ek
munni dikhai de kabhi munna dikhai de
chehre pe jis ke nak hai gaz bhar ki dosto
dekho jo ghaur se use nakTa dikhai de
jo tis-mar-KHan hai wo dada hai shahr ka
wo bhi to ghar mein joru se Darta dikhai de
hai baalighon ki film magar ja ke dekhiye
na-baalighon ka haal pe qabza dikhai de
serwice ke intizar mein 'pagal' ka thopDa
guThli baghair aam ka chhilka dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.