ghar apna wadi-e-barq-o-sharar mein rakkha jae
ghar apnā vādī-e-barq-o-sharar meñ rakkhā jaa.e
ta.alluqāt kā saudā na sar meñ rakkhā jaa.e
agar talab ho kabhī chand ghūñT paanī kī
samundaroñ kā tasavvur nazar meñ rakkhā jaa.e
sunā hai duḳhtar-e-tahzīb ghar se bhaag ga.ī
chhupā ke bachchoñ ko hargiz na ghar meñ rakkhā jaa.e
pata nahīñ ki kahāñ rah-zanoñ kī ho yalġhār
koī difā.a bhī raḳht-e-safar meñ rakkhā jaa.e
batāo kaise milegī hameñ sahīh ta.abīr
jab apnā ḳhvāb hī chashm-e-digar meñ rakkhā jaa.e
lo ab to ham bhī havāoñ ke saath chalne lage
hamārā naam bhī ahl-e-hunar meñ rakkhā jaa.e
kitāb ziist meñ bāb-e-alam bhī ho mahfūz
siyāh-rāt kā manzar sahar meñ rakkhā jaa.e
qafas ko le ke jo uḌā jaa.e gulistāñ kī taraf
vo azm tā.ir-e-be-bāl-o-par meñ rakkhā jaa.e
ghar apna wadi-e-barq-o-sharar mein rakkha jae
talluqat ka sauda na sar mein rakkha jae
agar talab ho kabhi chand ghunT pani ki
samundaron ka tasawwur nazar mein rakkha jae
suna hai duKHtar-e-tahzib ghar se bhag gai
chhupa ke bachchon ko hargiz na ghar mein rakkha jae
pata nahin ki kahan rah-zanon ki ho yalghaar
koi difaa bhi raKHt-e-safar mein rakkha jae
batao kaise milegi hamein sahih tabir
jab apna KHwab hi chashm-e-digar mein rakkha jae
lo ab to hum bhi hawaon ke sath chalne lage
hamara nam bhi ahl-e-hunar mein rakkha jae
kitab zist mein bab-e-alam bhi ho mahfuz
siyah-raat ka manzar sahar mein rakkha jae
qafas ko le ke jo uDa jae gulistan ki taraf
wo azm tair-e-be-baal-o-par mein rakkha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.