ghar banate waqt is ka dhyan hona chahiye
ghar banāte vaqt is kā dhyān honā chāhiye
dhuup rakhne ke liye dālān honā chāhiye
tang galiyoñ kī tarah hargiz na rasm-o-rāh ho
dostī meñ dil khulā maidān honā chāhiye
ḳhūbsūrat guftugū kyā isti.āroñ ke baġhair
is sahīfe ke liye juzdān honā chāhiye
ho sake taaza havā kā mahbas-e-jāñ meñ guzar
dil kī dīvāroñ meñ raushan-dān honā chāhiye
sirf gul-poshī nahīñ hai mehmānī kī dalīl
mezbāñ kī aañkh meñ gul-dān honā chāhiye
sāhib-e-fahm-o-darak hone pe bhī aulād ko
bāp-māñ ke sāmne nādān honā chāhiye
chand lamhoñ ko Thaharnā hai yahāñ jabki 'fahīm'
kam bahut hī kam sar-o-sāmān honā chāhiye
ghar banate waqt is ka dhyan hona chahiye
dhup rakhne ke liye dalan hona chahiye
tang galiyon ki tarah hargiz na rasm-o-rah ho
dosti mein dil khula maidan hona chahiye
KHubsurat guftugu kya istiaron ke baghair
is sahife ke liye juzdan hona chahiye
ho sake taza hawa ka mahbas-e-jaan mein guzar
dil ki diwaron mein raushan-dan hona chahiye
sirf gul-poshi nahin hai mehmani ki dalil
mezban ki aankh mein gul-dan hona chahiye
sahib-e-fahm-o-darak hone pe bhi aulad ko
bap-man ke samne nadan hona chahiye
chand lamhon ko Thaharna hai yahan jabki 'fahim'
kam bahut hi kam sar-o-saman hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.