ghar chhoD ke bhi ghar hi ke aazar mein rahna
ghar chhoD ke bhi ghar hi ke aazar mein rahna
Abdul Majeed Karkare
MORE BYAbdul Majeed Karkare
ghar chhoḌ ke bhī ghar hī ke āzār meñ rahnā
kho.e hue fikr-e-dar-o-dīvār meñ rahnā
kuchh aur baḌhā detā hai ma.anī ka ta.assur
chup rah ke bhī pairāya-e-iz.hār meñ rahnā
jo maslahat-e-vaqt ko ḳhātir meñ na laa.e
vo husn-e-anā chāhiye fan-kār meñ rahnā
ghar chhoD ke bhi ghar hi ke aazar mein rahna
khoe hue fikr-e-dar-o-diwar mein rahna
kuchh aur baDha deta hai mani ka tassur
chup rah ke bhi pairaya-e-izhaar mein rahna
jo maslahat-e-waqt ko KHatir mein na lae
wo husn-e-ana chahiye fan-kar mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.