ghar jo arsa laga banane mein
ghar jo 'arsa lagā banāne meñ
der tum ne na kī jalāne meñ
kyoñ thā āḳhir itaab ye mujh par
kyā milā tujh ko yuuñ satāne meñ
muntazir muztarib thā dil merā
der tum ne lagā dī aane meñ
ek tum par hī kyoñ ye dil aayā
aur bhī log haiñ zamāne meñ
aarzū intizār ummīdeñ
ab yahī rah gayā fasāne meñ
tum bhī chāhat kī baat karte ho
tum jo māhir ho dil dukhāne meñ
lo usī kā kiyā dharā hai ye sab
zikr jis kā nahīñ fasāne meñ
yaañ to miltī nahīñ pazīrā.ī
'āfiyat hai yahāñ se jaane meñ
'umr 'izzat kamāne meñ guzrī
tum ne pal bhar liyā gañvāne meñ
kyoñ hai darpesh tum ko dushvārī
mujh ko ik baar phir manāne meñ
ab to bhaa.ī se ġhair haiñ behtar
kaisā dastūr hai zamāne meñ
rakhtī thī chiḌiyā saiñt ke bachche
aa gayā saañp āshiyāne meñ
ghar jo 'arsa laga banane mein
der tum ne na ki jalane mein
kyon tha aaKHir itab ye mujh par
kya mila tujh ko yun satane mein
muntazir muztarib tha dil mera
der tum ne laga di aane mein
ek tum par hi kyon ye dil aaya
aur bhi log hain zamane mein
aarzu intizar ummiden
ab yahi rah gaya fasane mein
tum bhi chahat ki baat karte ho
tum jo mahir ho dil dukhane mein
lo usi ka kiya dhara hai ye sab
zikr jis ka nahin fasane mein
yan to milti nahin pazirai
'afiyat hai yahan se jaane mein
'umr 'izzat kamane mein guzri
tum ne pal bhar liya ganwane mein
kyon hai darpesh tum ko dushwari
mujh ko ek bar phir manane mein
ab to bhai se ghair hain behtar
kaisa dastur hai zamane mein
rakhti thi chiDiya saint ke bachche
aa gaya sanp aashiyane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.