ghar ka huliya badal diya usne
ghar kā huliya badal diyā us ne
saarā naqsha badal diyā us ne
maiñ to āvāra ek panchhī thā
mujh ko kitnā badal diyā us ne
jo thā raa.ij yahāñ pe sadiyoñ se
saarā qissa badal diyā us ne
ab ishāroñ se chaal chalte haiñ
khel saarā badal diyā us ne
saañp maiñ ne bhī ik banānā thā
aur sāñcha badal diyā us ne
jiit ke jab qarīb thā 'ābid'
ek mohra badal diyā us ne
ghar ka huliya badal diya us ne
sara naqsha badal diya us ne
main to aawara ek panchhi tha
mujh ko kitna badal diya us ne
jo tha raij yahan pe sadiyon se
sara qissa badal diya us ne
ab ishaaron se chaal chalte hain
khel sara badal diya us ne
sanp main ne bhi ek banana tha
aur sancha badal diya us ne
jit ke jab qarib tha 'abid'
ek mohra badal diya us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.