ghar kabhi tha wo hamara bhi jidhar ke hum hain
ghar kabhī thā vo hamārā bhī jidhar ke ham haiñ
kyā batā.eñ tumheñ kis chāñd-nagar ke ham haiñ
hadd-e-fāsil nahīñ khiñchtī hai diloñ ke mābain
jis meñ yādeñ haiñ hamārī usī ghar ke ham haiñ
maañ kī āġhosh kī mānind hoñ shāḳheñ jis kī
vo kisī des kā ho aise shajar ke ham haiñ
pyaar se baḌh ke bhalā aur koī kyā degā
ye jahāñ se bhī mile bas usī dar ke ham haiñ
ik tabī.at ki nahīñ miltī zamāne-bhar se
jaane kis des ke haiñ kaun Dagar ke ham haiñ
Daal de paañv meñ zanjīr hī ab to maulā
aur hijrat kā na dam hai na safar ke ham haiñ
ghar kabhi tha wo hamara bhi jidhar ke hum hain
kya bataen tumhein kis chand-nagar ke hum hain
hadd-e-fasil nahin khinchti hai dilon ke mabain
jis mein yaaden hain hamari usi ghar ke hum hain
man ki aaghosh ki manind hon shaKHen jis ki
wo kisi des ka ho aise shajar ke hum hain
pyar se baDh ke bhala aur koi kya dega
ye jahan se bhi mile bas usi dar ke hum hain
ek tabiat ki nahin milti zamane-bhar se
jaane kis des ke hain kaun Dagar ke hum hain
Dal de panw mein zanjir hi ab to maula
aur hijrat ka na dam hai na safar ke hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.