ghar ke zindan se use fursat mile to aae bhi
ghar ke zindāñ se use fursat mile to aa.e bhī
jāñ-fazā bātoñ se aa ke merā dil bahlā.e bhī
lag ke zindāñ kī salāḳhoñ se mujhe vo dekh le
koī ye paiġhām merā us talak pahuñchā.e bhī
ek chehre ko tarastī haiñ nigāheñ sub.h o shaam
zau-fishāñ ḳhurshīd bhī hai chāñdnī ke saa.e bhī
siskiyāñ letī havā.eñ phir rahī haiñ der se
āñsuoñ kī rut mire ab gulsitāñ se jaa.e bhī
roz hañstā hai salīboñ se udhar māh-e-munīr
us ke pīchhe kaun hai vo chhab mujhe dikhlā.e bhī
ghar ke zindan se use fursat mile to aae bhi
jaan-faza baaton se aa ke mera dil bahlae bhi
lag ke zindan ki salaKHon se mujhe wo dekh le
koi ye paigham mera us talak pahunchae bhi
ek chehre ko tarasti hain nigahen subh o sham
zau-fishan KHurshid bhi hai chandni ke sae bhi
siskiyan leti hawaen phir rahi hain der se
aansuon ki rut mere ab gulsitan se jae bhi
roz hansta hai salibon se udhar mah-e-munir
us ke pichhe kaun hai wo chhab mujhe dikhlae bhi
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 209)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.