ghar ki jaanib wo chal raha hoga
ghar kī jānib vo chal rahā hogā
shaam ke saath Dhal rahā hogā
aa.ine toḌ bhī diye hoñge
jab vo chehra badal rahā hogā
ik zamāna thā jis kī muTThī meñ
vaqt use bhī nigal rahā hogā
koī dil dekh sham'-e-be-mehrī
barf jaisā pighal rahā hogā
muddatoñ baa'd mere andar se
koī bāhar nikal rahā hogā
tere lab par hañsī rahī hogī
mere māthe pe bal rahā hogā
ik vahī ḳhvāb jo nahīñ dekhā
merī āñkhoñ meñ pal rahā hogā
ghar ki jaanib wo chal raha hoga
sham ke sath Dhal raha hoga
aaine toD bhi diye honge
jab wo chehra badal raha hoga
ek zamana tha jis ki muTThi mein
waqt use bhi nigal raha hoga
koi dil dekh sham'-e-be-mehri
barf jaisa pighal raha hoga
muddaton ba'd mere andar se
koi bahar nikal raha hoga
tere lab par hansi rahi hogi
mere mathe pe bal raha hoga
ek wahi KHwab jo nahin dekha
meri aankhon mein pal raha hoga
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 92)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 86)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.