ghar ki tanhai chhupa di jae
ghar kī tanhā.ī chhupā dī jaa.e
us kī tasvīr lagā dī jaa.e
maiñ bhī zinda huuñ bichhaḌ ke us se
aao afvāh uḌā dī jaa.e
mujh ko barbād kiyā hai us ne
us ko kuchh aur duā dī jaa.e
us ke aane se ġhazal hotī hai
us ko āvāz zarā dī jaa.e
maiñ ne taslīm kiyā hai us ko
sab ko ye baat batā dī jaa.e
ghar ki tanhai chhupa di jae
us ki taswir laga di jae
main bhi zinda hun bichhaD ke us se
aao afwah uDa di jae
mujh ko barbaad kiya hai us ne
us ko kuchh aur dua di jae
us ke aane se ghazal hoti hai
us ko aawaz zara di jae
main ne taslim kiya hai us ko
sab ko ye baat bata di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.