ghar ki uljhan se tabiat yun rahi uljhi hui
ghar kī uljhan se tabī'at yuuñ rahī uljhī huī
Tebaloñ pe jaise file shaam tak bikhrī huī
aaj saarā din hī us ne muntashir rakhā mujhe
raat kī kaḌvāhaToñ se chaa.e jo kaḌvī huī
vo saḌak ke moḌ par insān thā martā huā
yā thī us ke saath meñ insāniyat martī huī
aap ke kahne se kar luuñ kaise duniyā pe yaqīñ
aap bhī dekhe hue haiñ duniyā bhī dekhī huī
shahr chhoḌe us ko to barsoñ hue ham aaj bhī
dekhte haiñ rail-gāḌī duur tak jaatī huī
yuuñ ḳhizāñ ke daur meñ shādāb rakhtī thī mujhe
jaise chaḌhtī bel sūkhe peḌ se lipTī huī
nanhe-munne phuul saare ek dam se khil ga.e
garmiyoñ ke din lage schōl kī chhuTTī huī
tū ne jo bheje the message ab bhī mobile meñ haiñ
save hai tasvīr saarī gallery meñ kī huī
rāste bhar 'nūr' mere saath meñ chalte rahe
chehra vo utrā huā sā aañkh vo bujhtī huī
ghar ki uljhan se tabi'at yun rahi uljhi hui
Tebalon pe jaise file sham tak bikhri hui
aaj sara din hi us ne muntashir rakha mujhe
raat ki kaDwahaTon se chae jo kaDwi hui
wo saDak ke moD par insan tha marta hua
ya thi us ke sath mein insaniyat marti hui
aap ke kahne se kar lun kaise duniya pe yaqin
aap bhi dekhe hue hain duniya bhi dekhi hui
shahr chhoDe us ko to barson hue hum aaj bhi
dekhte hain rail-gaDi dur tak jati hui
yun KHizan ke daur mein shadab rakhti thi mujhe
jaise chaDhti bel sukhe peD se lipTi hui
nanhe-munne phul sare ek dam se khil gae
garmiyon ke din lage school ki chhuTTi hui
tu ne jo bheje the message ab bhi mobile mein hain
sawe hai taswir sari gallery mein ki hui
raste bhar 'nur' mere sath mein chalte rahe
chehra wo utra hua sa aankh wo bujhti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.