ghar kisi ka bhi ho jalta nahin dekha jata
ghar kisī kā bhī ho jaltā nahīñ dekhā jaatā
ham se chup rah ke tamāsha nahīñ dekhā jaatā
terī 'azmat hai tū chāhe to samundar de de
māñgne vaale kā kaasa nahīñ dekhā jaatā
jab se sahrā kā safar kaaT ke ghar lauTā huuñ
tab se koī bhī ho pyāsā nahīñ dekhā jaatā
ye 'ibādat hai 'ibādat meñ siyāsat kaisī
is meñ kā'ba yā kalīsā nahīñ dekhā jaatā
mere lahje pe na jā qaul kā mafhūm samajh
baat sachchī ho to lahja nahīñ dekhā jaatā
'aks ubhregā 'nafas' gard haTā de pahle
dhundle aa.ine meñ chehra nahīñ dekhā jaatā
ghar kisi ka bhi ho jalta nahin dekha jata
hum se chup rah ke tamasha nahin dekha jata
teri 'azmat hai tu chahe to samundar de de
mangne wale ka kasa nahin dekha jata
jab se sahra ka safar kaT ke ghar lauTa hun
tab se koi bhi ho pyasa nahin dekha jata
ye 'ibaadat hai 'ibaadat mein siyasat kaisi
is mein ka'ba ya kalisa nahin dekha jata
mere lahje pe na ja qaul ka mafhum samajh
baat sachchi ho to lahja nahin dekha jata
'aks ubhrega 'nafas' gard haTa de pahle
dhundle aaine mein chehra nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.