ghar ko maidan hamein be-sar-o-saman kiya
Interesting Fact
میر کی نذر)
ghar ko maidān hameñ be-sar-o-sāmān kiyā
āñdhiyo tum ne bhare shahr ko vīrān kiyā
kaam dushvār thā ham ne ise āsān kiyā
kāġhazī phuul se titlī ko pareshān kiyā
apnī rūdād raqam kī to ik uslūb se kī
dard ko matn kiyā zaḳhm ko 'unvān kiyā
ye virāsat ka.ī sadiyoñ se chalī aatī hai
ghar pe dushman bhī koī aaya to mehmān kiyā
mashġhala she'r-o-suḳhan kā nahīñ āsāñ sāhib
dard-o-ġham kitne kiye jam' to dīvān kiyā
faisla panch ne kuchh aur sunāyā lekin
gaañv ke logoñ ne kuchh aur hī e'lān kiyā
maiñ use kaise sar-āñkhoñ pe biThātā 'shādāb'
jis ne sammān jatā kar mirā apmān kiyā
ghar ko maidan hamein be-sar-o-saman kiya
aandhiyo tum ne bhare shahr ko viran kiya
kaam dushwar tha hum ne ise aasan kiya
kaghazi phul se titli ko pareshan kiya
apni rudad raqam ki to ek uslub se ki
dard ko matn kiya zaKHm ko 'unwan kiya
ye wirasat kai sadiyon se chali aati hai
ghar pe dushman bhi koi aaya to mehman kiya
mashghala she'r-o-suKHan ka nahin aasan sahib
dard-o-gham kitne kiye jam' to diwan kiya
faisla panch ne kuchh aur sunaya lekin
ganw ke logon ne kuchh aur hi e'lan kiya
main use kaise sar-ankhon pe biThata 'shadab'
jis ne samman jata kar mera apman kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.