ghar main apna shumar chahte hain
ghar main apna shumar chahte hain
Khwaja Ghulamussyedain Rabbani
MORE BYKhwaja Ghulamussyedain Rabbani
ghar maiñ apnā shumār chāhte haiñ
ya.anī ham iḳhtiyār chāhte haiñ
kuchh to tai ho zar-e-mubādil-e-jāñ
ab ke ham kārobār chāhte haiñ
ahd-o-mīsāq toḌne vaale
phir se saudā udhār chāhte haiñ
izzateñ muft meñ nahīñ miltīñ
martabe e.atibār chāhte haiñ
ek nisbat tumhāre dar se rahe
ham kahāñ iftiḳhār chāhte haiñ
kuchh to aurang-e-jāñ kī zeb baḌhe
ek kachchā mazār chāhte haiñ
ghar main apna shumar chahte hain
yani hum iKHtiyar chahte hain
kuchh to tai ho zar-e-mubaadil-e-jaan
ab ke hum karobar chahte hain
ahd-o-misaq toDne wale
phir se sauda udhaar chahte hain
izzaten muft mein nahin miltin
martabe eatibar chahte hain
ek nisbat tumhaare dar se rahe
hum kahan iftiKHar chahte hain
kuchh to aurang-e-jaan ki zeb baDhe
ek kachcha mazar chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.