ghar mein aaram ka saya nahin rahne deti
ghar meñ ārām kā saaya nahīñ rahne detī
ab to tanhā.ī bhī tanhā nahīñ rahne detī
muflisī kitnī ḳhatarnāk hai tum kyā jaano
ye salāmat koī rishta nahīñ rahne detī
ye to achchhā huā sāñsoñ pe nahīñ bas us kā
varna duniyā mujhe zinda nahīñ rahne detī
chāhtī kyā hai ye āvāra-mizājī merī
ek markaz pe hamesha nahīñ rahne detī
kyā burī shai hai ye shohrat kī havas bhī 'ālam'
achchhe-achchhoñ ko bhī achchhā nahīñ rahne detī
ghar mein aaram ka saya nahin rahne deti
ab to tanhai bhi tanha nahin rahne deti
muflisi kitni KHatarnak hai tum kya jaano
ye salamat koi rishta nahin rahne deti
ye to achchha hua sanson pe nahin bas us ka
warna duniya mujhe zinda nahin rahne deti
chahti kya hai ye aawara-mizaji meri
ek markaz pe hamesha nahin rahne deti
kya buri shai hai ye shohrat ki hawas bhi 'alam'
achchhe-achchhon ko bhi achchha nahin rahne deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.