ghar mein chizen baDh rahi hain zindagi kam ho rahi hai
ghar meñ chīzeñ baḌh rahī haiñ zindagī kam ho rahī hai
dhīre dhīre ghar kī apnī raushnī kam ho rahī hai
shahr ke bāzār kī raunaq meñ dil bujhne lage haiñ
ḳhuub ḳhush hone kī ḳhvāhish meñ ḳhushī kam ho rahī hai
ab kisī ko bhī chhuo lagtā hai pahle se chhuā sā
vo jo thī pahle-pahal kī sansanī kam ho rahī hai
tai-shuda lafzoñ meñ karte haiñ ham iz.hār-e-mohabbat
ab to pahle ishq meñ bhī an-kahī kam ho rahī hai
le gayā ye shahr us ko mere pahlū se uThā kar
mujh ko lagtā hai mirī dīvāngī kam ho rahī hai
husn kā bāzār aanā jaanā bhī kuchh baḌh rahā hai
kuchh mirī āñkhoñ kī bhī pākīzgī kam ho rahī hai
vaqt DanDī mārtā hai tolne meñ merā hissa
din bhī chhoTe paḌ rahe haiñ raat bhī kam ho rahī hai
shahr kī koshish ki ḳhud ko aur pechīda banā le
merī ye tashvīsh merī sādgī kam ho rahī hai
sāhiloñ kī bastiyāñ ye dekh kar ḳhāmosh kyuuñ haiñ
bastiyoñ ke phailne se hī nadī kam ho rahī hai
shaam aate hī tumheñ rahtī hai ghar jaane kī jaldī
'farhat-ehsās' in dinoñ āvārgī kam ho rahī hai
ghar mein chizen baDh rahi hain zindagi kam ho rahi hai
dhire dhire ghar ki apni raushni kam ho rahi hai
shahr ke bazar ki raunaq mein dil bujhne lage hain
KHub KHush hone ki KHwahish mein KHushi kam ho rahi hai
ab kisi ko bhi chhuo lagta hai pahle se chhua sa
wo jo thi pahle-pahal ki sansani kam ho rahi hai
tai-shuda lafzon mein karte hain hum izhaar-e-mohabbat
ab to pahle ishq mein bhi an-kahi kam ho rahi hai
le gaya ye shahr us ko mere pahlu se uTha kar
mujh ko lagta hai meri diwangi kam ho rahi hai
husn ka bazar aana jaana bhi kuchh baDh raha hai
kuchh meri aankhon ki bhi pakizgi kam ho rahi hai
waqt DanDi marta hai tolne mein mera hissa
din bhi chhoTe paD rahe hain raat bhi kam ho rahi hai
shahr ki koshish ki KHud ko aur pechida bana le
meri ye tashwish meri sadgi kam ho rahi hai
sahilon ki bastiyan ye dekh kar KHamosh kyun hain
bastiyon ke phailne se hi nadi kam ho rahi hai
sham aate hi tumhein rahti hai ghar jaane ki jaldi
'farhat-ehsas' in dinon aawargi kam ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.