ghar mein ek daricha kam hai
ghar meñ ek darīcha kam hai
aur ujālā kitnā kam hai
sirf tumhārā chehra kam hai
jaane ghar meñ kyā kyā kam hai
ḳhaas nahīñ hai apnā jiinā
is jiine meñ marnā kam hai
ab ye kahānī lambī chalegī
is meñ hamārā qissa kam hai
saare parinde chup baiThe haiñ
dasht meñ ik dīvāna kam hai
us ne kahā ab jaao yahāñ se
maiñ ne kahā nazrāna kam hai
us kī kitāb-e-dil to hasīñ hai
lekin pahlā pannā kam hai
sote hue sayyād ye bolā
piñjre meñ ik chiḌiyā kam hai
ghar mein ek daricha kam hai
aur ujala kitna kam hai
sirf tumhaara chehra kam hai
jaane ghar mein kya kya kam hai
KHas nahin hai apna jina
is jine mein marna kam hai
ab ye kahani lambi chalegi
is mein hamara qissa kam hai
sare parinde chup baiThe hain
dasht mein ek diwana kam hai
us ne kaha ab jao yahan se
main ne kaha nazrana kam hai
us ki kitab-e-dil to hasin hai
lekin pahla panna kam hai
sote hue sayyaad ye bola
pinjre mein ek chiDiya kam hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 74)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.