Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar mein kuchh aur izafa hua tamir ke baad

Navin Joshi

ghar mein kuchh aur izafa hua tamir ke baad

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    ghar meñ kuchh aur izāfa huā tā'mīr ke baa'd

    ek dīvār banī thī tirī tasvīr ke baa'd

    ḳhvāb lagtā huuñ to phir dekh mujhe lutf uThā

    maiñ dikhā.ī nahīñ dūñgā tujhe tā'bīr ke baa'd

    kuchh ghaḌī rakh de kahīñ duur zarā lauh-o-qalam

    ‘ālam-e-vajd rahegā nahīñ tahrīr ke baa'd

    jang ke baa'd yahāñ amn bhī to aa.egā

    hal chalānā bhī sikhānā mujhe shamshīr ke baa'd

    ghar mein kuchh aur izafa hua ta'mir ke ba'd

    ek diwar bani thi teri taswir ke ba'd

    KHwab lagta hun to phir dekh mujhe lutf uTha

    main dikhai nahin dunga tujhe ta'bir ke ba'd

    kuchh ghaDi rakh de kahin dur zara lauh-o-qalam

    ‘alam-e-wajd rahega nahin tahrir ke ba'd

    jang ke ba'd yahan amn bhi to aaega

    hal chalana bhi sikhana mujhe shamshir ke ba'd

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now